"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Sunday, May 3, 2009

shaher...wrriten by Chand


Ye shehar bhut ajjeb hai k yaha ab dil nai lagta
toh kyu na aaj hum Laut jayein wahi jana khilta hai har phool kuch aise k ,
mano jaise baharon ka mausam ho

Jahan bhanwarein gaate hai geet
kuch aisa k dil jhoom jata hai !!

Wahi jagah jahan baith kar
waqt gujarta tha ,
doston se do baatein karne mein per aaj waqt gujarta hai sirf un lamho ko jutaney mein ,
toh kyu na aaj hum laut chale!!!


Waheen jahan subah roz ek naya paigaam
lati hai
waheen jahan raat ki chandni kuch keh jati thi,
haan wahi shehar jaha apni yaadon
ka ek kaarwa hai ,
haan wahi shehar aa chal ab laut chalein.............

5 comments:

Mannat said...

one more from my side...

Jisey Bhool Kar Bhi Main Bhool Na Saki
Wo Har Pal Kyu Mujhe Yaad Aata Hai,
Kyu Uske Na Honey Ka Gumm,
Aaj Bhi Mujhe Tadpata Hai??

Iss Khushnuma Zindagi Mein
Kuch Gaane Ko Jee Karta Hai,
Ek Ajnabi Sa Ehsaas Kyu,
Mere Mann Ko Bhar Jata Hai,
Socha K Sunau Kuch Taarane Main Bhi
Per Hothon Pe Tera Hee Naam Aaye,
Toh Kya Karu?

Iss Aasmaan ki Bulandi Ko
Chuu Lene Ko Dil Karta Hai,
Ab Toh Har Baat Se Hee
Ek Vishwas Sa Mann Mein Jagta Hai,
Per Dil Mein Gar ho Teri Hee Pyas
Toh Kya Karu?

Inn Bikharti Saanso Se
Jab Teri Khushboo Aati Hai,
Pal Pal Mein Wo Humein ,
Kitne Khwab De Jati Hai
Jab Bhool Chuki Hu Main Tumko
Toh Kyu Aansu Bann K Aate Ho
Kyu Hasti Khelti Zindagi Ko
Ek Dard Ki Raah Dikhate ho
Tum Kyu Mere Khayalo mein Aate Ho?



By:-
Chandni

Prasun Kulshrestha said...

waaaaaah kya khoob kaha hai chand...

Iss Aasmaan ki Bulandi Ko
Chuu Lene Ko Dil Karta Hai,
Ab Toh Har Baat Se Hee
Ek Vishwas Sa Mann Mein Jagta Hai,
Per Dil Mein Gar ho Teri Hee Pyas
Toh Kya Karu?

honestly...amazing...u write with lving feelings....tooo good

Mannat said...

one more from my side ....
Plz put it on main page ....

Main sunnti rahi ,
wo santey rahe
beete palon ki baatein batate rahe
shayad kuch kehna tha unko
phir wo pass baithe sirf muskurate rahe..


Ek Lamha jab hum thee unke aagosh mein
koshish ki ussne kareeb aane ki bhut
buss ek hum thee jo har pal durr jate rahe
koi shikayat nai thi unhe tab bhi
hum jitna pass bulate thee wo
pass aate gaye .......

Thamm gaya tha sama jab wo thee sath mein
jisey yaad karke hum raat bhar muskurate rahe
baahon mein unki hum bhool gaye khud ko
or wo thee jo har iss Zamaney ki yaad dilate rahe ...

Kuch baatein thi unkahi ..
jinhe har baar wo chupatey rahe
puchna humne chaha jab unse wo sab
toh wo har barr ek naya bahana banatey rahe ....


Khud toh bhool gaye wo aaj
beete lamhe jo kisi or ke sath
per yaad dila dila k uski
wo har dumm humein rulate rahe ....
janti thi wo apna nai koi
per phir kyu unhe har baar
hum sapno mein apne bulatey rahe

Unka aana toh buss ek bahana tha
jinki aankho mein hum khwab apne sajate rahe
jo chood gaye thee beech raah mein hume
hum wahi se naye saathi banate rahelagta hai ye sab fareeb hai
phir kyu unka naam kal shaam
hum Gunngunatey rahe
haan hum Gunngunatey rahey !!!

Prasun Kulshrestha said...

hey mannat...tum to pakke shaayer ban gye...awesome poem awesomeeeeeeeeeee


maja aa gya...wooooopi

Mannat said...

thanks boss,
ye sab apki hee sangati ka asar hai