"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Monday, January 13, 2014

Ye akelapan

Yun dara dara yu daba daba,
Jee raha hun kabse jaane aise,
Main hasta hun bas ek tere liye,
Has raha hun jhuta kabse jaane aise,

Yun bhujha bhuja yun sehma sa,
Ander se sulag raha hun kabse...
Rooth bhi sakta nahi mai tujhse jaan,
Ek teri kasam k liye jee raha kabse jaane aise..

Saturday, February 2, 2013


Kya Karoon Ab Koi Acha Nahi Lagta Mujhey
Tu Bhi Pehley Ki Tarha Apna Nahin Lagta Mujhey

Ab Teri Baatein Mere Dil Mein Utarti Hi Nahin
Tu Woh Hi Hai Par Tera Lehja Apna Nahin Lagta Mujhey

Tu Toh Abb Mere Saaye jaisa Saath Chalta Hai Mere
Terey chehre Pe Tera Chehra Nahin Lagta Mujhey

Tu Kabhi karta tha baatein Kasmein nibhane ki,
Ab Tere baaton mein wo rutba nai lagta mujhey

Kabi Chalti thi hawaein ek tera naam lene se,
Ab tu pass hai magar per ek Jhonka Nahin Lagta Mujhey

Ab teri Gazalo se bhi Teri Khushboo Nahin Aati,
Khat Bhi Tere Haath Ka Likha Nahin Lagta Mujhey

Adhorapan tha tere pass na hone se,
Ab tu mera hai per bhir bhi ye dil Abaad nai lagta....


Aisa Nai Ke Humein Mohabbat Nahi Mili..... By- Chandni

Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Milli,
Jaisi Chahtey Thay Hum Ko Woh Ulfat Nahi Milli.

Milnay Ko Zindagi Main Kai Humsafer Milley,
Per Un Ki Tabiyat Sey Tabiyat Nahi Milli.

Chehron Main Dusron Ke Tumhin Ko Dhoondhtey Rahey,
Kahin Surat Nahi Milli Toh Kahin Seerat Nahi Milli.

Bohat Dair Sey Aaya Tou Meray Pass Kiya Kahoon,
Alfaaz Dhoondney Ki Bhi Mouhlat Nahi Milli.

Tujh Ko Gilla Raha Ke Ehmiyat Na Di Tujhey,
Lekin Hamein Khud Apni Mohabbat Na milli.

Her Shakhas Zindagi Main Bohut Dair Milla,
Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahi Milli.

Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi,
Afsoos Ke Tujh Sey Meri Aadat Nahi Mill

Love you Valentine 2013

There are many fish in the sea but you will always be my Nemo.

Thursday, February 10, 2011

Aisa Nahi Ke Mohabbat Nahi Mili.....By-Chandni

Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Milli,
Jaisi Chahtey Thay Hum Ko Woh Ulfat Nahi Milli.

Milnay Ko Zindagi Main Kai Humsafer Milley,
Per Un Ki Tabiyat Sey Tabiyat Nahi Milli.

Chehron Main Dusron Ke Tumhin Ko Dhoondhtey Rahey,
Kahin Surat Nahi Milli Toh Kahin Seerat Nahi Milli.

Bohat Dair Sey Aaya Tou Meray Pass Kiya Kahoon,
Alfaaz Dhoondney Ki Bhi Mouhlat Nahi Milli.

Tujh Ko Gilla Raha Ke Ehmiyat Na Di Tujhey,
Lekin Hamein Khud Apni Mohabbat Na milli.

Her Shakhas Zindagi Main Bohut Dair Milla,
Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahi Milli.

Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi,
Afsoos Ke Tujh Sey Meri Aadat Nahi Mill

Saturday, December 4, 2010

Na Tumne kabhi dekha hai...by Prasun

Na jaana hai na jaan paogay..
ye dard ye udaasi ye akelapan,
na tumne kabhi dekha hai na dekh paogay...

Na tumne kabhi padha hai na padh paogay..
ye chehra jis hasi se dhak leta hai udaasi meri,
uss hasi ke peeche na tune kabhi dekha hai na dekhegi kabhi..

Yun tere sang rehna acha lagta hai..
khayalo baatein karna acha lagta hai..
par baith ke kabhi jo tune inn ansuo ko chua ho...
na kabhi aansu ko poacha hai, na poachegi kabhi...

magar sach yahin hai ki tu ab bhi khaas hai.: By Prasun




Use lagta hai ki main uska hun...

par use khabar nahin ki ho rhi hai wo door mujhse...

abhi to aaye hain hum iss gulistaan mein tere sang....

E dekh jara ki hum door na ho jaaye iss gultisatan ke sookhne se pehle...


Hun khush itna magar dard chall rha hai saath mere...

kabhi jo tune seene se lagaya tha bas isiliye paas hun...
ye likh rha hai dil ya keh rhi hai saasein,
magar sach yahin hai ki tu ab bhi khaas hai..

Jo tu ye samjhe ki moti, moti sirf tere kismat ke liye hi nahin,

muje dard hai dard ke bahaane hai alag..

teri kismat hai, tere tarane hai alag...

magar sach yahin hai ki tu ab bhi khaas hai..

Sunday, October 24, 2010

Friendship Is All About......


These clouds are like my feelings,
they gather & disappear...
the sky becomes lonely when clouds are gone...
& hey! This is how friendship is all about...

I have seen myself lonely at times too...
Rhythm of our good times & being with you...
I deeply cry when the feelings of being with you is gone...
& hey! This is how friendship is all about...

I feel strong when you guys are around...
Hitting me with pillows & making weird sound...
Those moments are gone but still my pillow is waiting for you guys to come ...
& hey! This is how friendship is all about...

I remember the times of walking with you on dark street night...
I try to run after you but someone from back holding me tight...
Those streets still exist in my town...
I never walked again on that street...
& hey! This is how friendship is all about...

I have seen growing my soul with you all...
Every day, every moment with ha ha hey hey & all...
I look back & think to get you guys back in life...
as I trust friends come back even after fights & fights of life...
& hey! This is how friendship is all about...

I have been on seashore with you my friends...
I have seen one end of ocean; wanna see the other end with you some day...
This seashore has seen me many times sitting alone ...
& hey! This is how friendship is all about...

I feel the touch of your support whenever I cried before...
My every little tear had smiled after being with you...
Today even my eyes are sad, my eyes wish to see you guys...
& hey! This is how friendship is all about...

I can do anything to be with you again...
I can make my new earth & new world without any pain...
Come back to me please & see how badly I need you friends...
Come for me... Come back for me...
I know only you friends can understand that for me what friendship is all about...

Missing You All :-(

Friday, October 8, 2010

Adhuri Khwahish...............By :- Chandni

E Naaz ! Thehro Jara Ye Raat abhi adhuri hai,
Umar Bhar k Waado ki Sogaat Abhi Adhuri hai....

Khaton mein jis kadar hoti hai wo baatein ,
Is tarah ki sab mulaqaate ab adhuri hai,

Tere bin jo guzarte hai main un lamhon se waakif hoon,
Mere yeh din adhure hai, meri har raat adhuri hai,

Jo baate ho chuki hai jaane kitni martaba tumse,
Mujhe mehsoos hota hai wohi baatein abhi adhuri hai,

Kuch aise bha gayi hai dil ko uski sanwali rangat,
Ke uske saamne ab husn ki Kaynaat ab adhuri hai,

Dil Ki Gehrayi mein bass basa hai ek tera naam,
Per Lagta hai phir kyu K Meri Talaash abhi adhuri hai.

Ruhh Mein Meri Ghul gya hai Tera hee Pyar,
Per Lagta hai K Iss Mann Ki Pyass Abhi Adhuri hai !!

Meri Jann !Suno Jara Ek Khwahish abhi adhuri hai....
Ye Khwahish abhi adhuri hai..........

Thursday, October 7, 2010

My Love .....Posted by Chandni


Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahin Karte,
Kaha Maine Mohabbat Main Kabhi Socha Nahin Karta!!
Kaha Usne Bahut Khush-Rang Dunya Ke Nazare Hain,
Kaha Maine Ke Jab Tum Ho To Hum Kuch Dekha Nahin Karte!!
Kaha Usne Main Tumse Door Hoon Lekin Tumhari Hu,
Kaha Maine Ke Sapne Se Dil Ko Behlaya Nahin Karte!!
Kaha Usne Tumhari Chahat Tumhen Ruswaian Degi,
Kaha Maine Ke Hum Shohrat Se Ghabraya Nahin Karte!!
Kaha Usne Samajh Jao Samajh Jao Ae Meri Jaan,
Kaha Maine Ke Deewane Ko Samjhaya Nahin Karte!!