"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Sunday, May 17, 2009

Ek aankh bhar kar...Wrriten by Prasun

















kisine na todi kasam aur waade par wo todta rha dil mera raat bhar,
mujhe to yaad tak nahi ki mujhse khata kya hui..
jo bhingata rha wo aankhen meri raat bhar...

itne arse se dil mein chupakar rakha tha iss raat ko..
aur jab subah hui to taras rha hun use dekhne ko ek aankh bhar..

keh rhe the wo ki iss tarah dil mein jagah nahi banate parinde apne bankar..
kuch udd jaate hai haalaato mein, kuch reh jaate hain yaadein bankar..

kuch der mein fisalta rha ret bankar..
kuch der mein rota rha aankh bankar..
mein jaanta nahi ki muje kya chahiye..
par hasta rha iss baat par ki mein jeeta rha kisi se pyar bankar..

itne arse se dil mein chupakar rakha tha iss raat ko..
aur jab subah hui to taras rha hun use dekhne ko ek aankh bhar..

6 comments:

Anonymous said...

Hi Prasun,
Very nice written...
So socha k thoda dard or daal diya jaye...

Itne arse se dil mein chupakar rakha tha iss raat ko..
aur jab subah hui to taras rha hun use dekhne ko ek aankh bhar
dil kehta hai ye dewaanapan hai
phir kyu jagata raha uska khyal mujhe raat bhar

socha tha nahi karenge
izhaar-e -dil kabhi unse
per wo usii izhaar ko dohrata rha raat bhar
dil ne toh har pal usey chaha
per wo kyu usey thukrata raha usey raat bhar...

aankh khuli toh tab ye jana
wo sapna nai,haquiqat thi
humne jisey aaknho mein sajaya
jismein wo mera sar apni Godd mein rakhkar
usey sehlata raha raat bhar...


By:-
Chandni

Prasun Kulshrestha said...

itni ijjat se maara hai zindagi ne kisi mere apne ko,
mujhe pata bhi na chala ki wo mein hi tha jo tukdo mein marr rha tha...

Anonymous said...

kal se ye khayal mere dil mein aaya hai,
duniya mein kaha kisne sacha pyar paya hai,
umar gujar rahi hai ab toh unke intezaar mein
ek zakhm bhara nai or dusra taiyaar paya hai!!!


By:-
Chandni

Prasun Kulshrestha said...

hmmmmmmm...kahin padha hua hai ye poem..yaad nahi kaha!

Anonymous said...

oyee mere jo bhi frnds iss blog pe hain na unmein se ek se complement mila k iss poem k liye jo photo apne choose ki hai na ussmein jo ladki hai uska face mere face se kafi milta hai ...
really funny na...

By:-
Chandni

Prasun Kulshrestha said...

i wish ki kabhi aisa na ho ki uske face se tera face mile stupid...read her face...she has millions of things to speak....but she has buried in her heart...i wish no one matches her face