"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Monday, April 13, 2009

Sapne....wrriten by Prasun


kuch rang hai itne saare ki bikhare bikhare se lagte hai..
jo saath hai wo nahi ; jo door hai wo apne se lagte hai...

kuch sapne aankho mein itne saare..
ki dekhe dekhe se lagtey hai..
ab poore hue jo khawab mere, to iraade toote toote se lagtey hai..

kuch rang hai itne saare ki bikhare bikhare se lagte hai..
pal ho jab khud Do pal ka ; tab har pal apne se lagte hai...

kuch baatein yaadoan mein itni saari..
ki khwabon mein batiyaane lagte hai..
wo baatein nahi par saasein thi meri..
jo yaad aane par tootne lagti hai..

kuch muskurahat teri itni pyaari..
ki mere aansu bhi palko se aisa kehtey hai..
tu door kahin khwabon mein mere
aur yaad karun to tu roothne lagti hai...

kuch rang hai itne saare ki bikhare bikhare se lagte hai..
jo saath hai wo nahi ; jo door hai wo apne se lagte hai..

5 comments:

Anonymous said...

very nice ..keep it up bhai

Prasun Kulshrestha said...

thanks, but who is this?

aparna verma said...

prasoon ,,very nice expression ,,,,,,keep it up

aparna

Prasun Kulshrestha said...

thanks aparnaji....

Anonymous said...

Hi bro ,
Here present the second version of ur poem SAPNE........



kuch khwab hai itne saare k
sab tutey tutey se lagte hai
jo pass hai wo kuch nahi
jo durr hai wo kyu apne apne
se lagte hai

tu mere khwabo mein kahi hai
per tujhe dekhu toh kyu
khwab tutne lagte hai

tu bsa hai meri aankho mein
jinhe band karun toh
kyu aansu behne lagte hain

dil kehta hai wo koi nai hai
per wo kyu kuch apne se
lagte hain

itne rang hai har taraf k
sab bikhre bikhre se lagte hai
ab toh har rang mujhko
kuch chamkiley se lagte hai

main baat kahu kya gamon ki
yaha toh dukh b apno se milte hai
wo dete hain aansu b aise k
wo b ehsano se lagte hai

iss duniya mein sukh-chain ka
kisne yaha hisaab kiya
chain toh hain apne
per sukh kyu paraye se lagte hain

kuch khwab hai itne saare k
sab bikhre bikhre se lagte hai
sab bikhre bikhre lagte hain

By:-
Chandni