
yaad bas shakal hai jisne kabhi sukun diya tha mujhe..
ab to uss shakal ki ret par soorat dekhta hun...
seene se laga nahi sakta gar tujhko mein..
ret ke seene mein mahal dhundta hun..
aansu bankar beh rha hun khud mein...
khudko nahi pata kyu ab humsafar dhund rha hun..
tujhse acha to wo chand hai jo door hokar bhi nazar to aa rha hai..
ek tu hai jise andhere mein roshni sa dhun rha hun..
iss tarah na ban paayegi wo chahat tere dil mein meri..
gairo ki shakal mein humshakal dhun rha hun..
kisi shaks ka chehra lekar to hass lun do pal..
khud ka chehra lekar to tere gum mein doob rha hun..
No comments:
Post a Comment