"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Monday, April 20, 2009

God knows meaning of Love & life: wrriten by Varun


GOD

Tu khush nahi, kya gam hai jo tujhe sataa raha hai
Teri hotho ki hasi kuchh kehti nahi, magar aansoo kuchh bata raha hai

To GOD

Uske hotho par hamesha muskaan dekhi hai,
apne liye do aansoo bhi aankhon mein dekhe nahi kabhie
Hotho par toe mere bhi muskaan rehti hai,
par yun aankhon mein aansoo maine roke nahi kabhie

GOD’s Reply

Gam sab ko hota hai, kuchh zubaa se nahi bataate
Bas rote hain tanhaayee mein, yun aansoo nahi dikhaate
Tu kahaan un jaisa, jo har pal muskuraate
Woh ro chuke hain itna, ki ab aansoo nahi aate

1 comment:

Anonymous said...

very nice jis kisi ne likha hai bhut acha likha hai
i also want to write something ...

Ek din Khuda ne mujhse pucha ....
Tera hasta hua chehra Udas kyu hai?
Wo log jinke liye tum kuch bhi nahi
wo tumhare liye khas kyu hai???

Toh dil se aawaz aayi ..
k jo dil tod kar hastey hai
hum pyar usi se karte hain ...

jo kabhi na ho bharose k kabil
hum aitbaar usi pe karte hai

Wo chahe jo bhi sila de
per hum puri wafa nibhate hai
Jo chod gaye beech raah mein
hum phir bhi unhe apnaate hai

Yeh dastoor nai hai duniya
Phir bhi hum iss ko nibhate hai
Jaane Kyu iss ko nibhate hai??

By:-
Mannat