"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Wednesday, September 2, 2009

*****YAAD******* (Dedicated to Someone)


Aaj tak main jiss muqaam se gujra tha ,
Khadey hain aaj bhi wahi jaha Kal ussne roka tha….

Aaj phir un galiyon se gujra hoon jahan mohabbat rahti thi,
Aaj uski yaad phir ubhar aai hai jo dabi hui rahti thi,

Wo peepal ka ped, wo panchhiion ka chahkana ,
In hawaon me kabhi wafa ki mahak raha karti thi ,
wo chabootare par baith ke batiyana uss sey pahron tak,
mohabbat ki aur khushi ki nishani yaha rahti thi .....

kahan gayi wo kasmein, wo wade mohabbat ke
kahan gai wo wafa jo un aankhon me rahti thi.
Suna hai aajkal wo Mere haal poochhti hain garon se
Jo kabhi mere kandhon pe sukoon mehsoos karti thi. ....

Aaj phir wo lamha, aaj phir wo gujra jamana yaad aaya,
Wo NAGPUR ki galiyan, wo college ka jamana yaad aaya.

Wo sagar kinare milkar khelna, kabhi ladna jhagadana
Gharonde banana aur banakar phir tod dena yaad aaya.

Wo ghar se chupke se nikalna, sab ko seeti bajakar bulana
Wo ambiiya churana, wo mali ka peechhe daudna yaad aaya.
Bachpan ka wo lagav, wo masoom-si mohabbat uski
Wo uska roothkar jaana, phir mera ashq bahana yaad aaya............

4 comments:

Prasun Kulshrestha said...

Suna hai aajkal wo Mere haal poochhti hain garon se
Jo kabhi mere kandhon pe sukoon mehsoos karti thi.

wow...simply wow.
this line reminds me abt the love that i left somewhere behine me....

Pinks said...

Aaj phir wo lamha, aaj phir wo gujra jamana yaad aaya,
Wo NAGPUR ki galiyan, wo college ka jamana yaad aaya.....



Nice one.....

Mannat said...

is it pinky???
Anyways thanx for reading this
and appreciating ..
You also remember ur college days after reading this ..
its such a achievement for me
:-(

Prasun Kulshrestha said...

pinks....ahem ahem welcome