"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Saturday, July 25, 2009

Tera khayal na aaya...by Prasun

Tera naam hi nahi, har wo shaks aaya behlaane muje,
aai na bas tu muje aur rulaane ko..
Me has bhi door rehkar sakta tha magar..
tera khayal na aaya, tera khayal na aaya...

Kal peene gya sharab aur pilaata rha koi apna samjh kar..
Mein rokta rha har ghoot ko, wo pilaata raha raat bhar...
Subah bhi ho gyi par nasha na chad saka mere sar tak..
Phir bhi tera khayal na aaya, tera khayal na aaya...

Mein ghoomta raha har taraf ki kahin inn aansuo ko daba dun,
gaj do gaj jameen na mili muje aansu dabane ko..
mein rota rha, rota rha...Rota raha bas isliye ki...
tera khayal na aaya , tera khayal na aaya..

2 comments:

Mannat said...

Very nice boss...
waise apne jiss kisi k liye ye likha hai "Tera Khyal na aaya" ...sochti hu k agar wo iska reply degi toh kya hoga...

lets guess............

Maine toh har lamhe mein tha tujhe pukara,
Tujhe MERA KHYAL NA AAYA ye or baat hai..

Meri Har Ek Ada Mein Chhupi Thi Teri Tamanna,
Tum ne Mehsoos Na Ki Ye Aur Baat Hai,

Maine Chaha Har Dam Tere Hi Khwab Dekhu,
Mujhe Neend hee Na Aayi Ye Aur Baat Hai,

Maine Jab Bhi Tujh se Baat Karna Chaha,
Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai,

Main Meri Tamanna Ke Samundar Mein Door Tak Nikli,
Mujhe Saahil Na Mila Ye Aur Baat Hai,

Qudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri Taqdeer Mein,
Teri Qismat Mein Main Na Thi Ye Aur Baat Hai…..........

Sorry if u feel bad........

Prasun Kulshrestha said...

Maine Chaha Har Dam Tere Hi Khwab Dekhu,
Mujhe Neend hee Na Aayi Ye Aur Baat Hai,

Maine Jab Bhi Tujh se Baat Karna Chaha,
Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai,