"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Sunday, May 10, 2009

Tum.... a poem by Chandni
















Jisey Bhool Kar Bhi Main Bhool Na Saki
Wo Har Pal Kyu Mujhe Yaad Aata Hai,
Kyu Uske Na Honey Ka Gumm,

Aaj Bhi Mujhe Tadpata Hai??

Iss Khushnuma Zindagi Mein Kuch Gaane Ko Jee Karta Hai,
Ek Ajnabi Sa Ehsaas Kyu,

Mere Mann Ko Bhar Jata Hai,

Socha K Sunau Kuch Taarane Main Bhi Per Hothon Pe Tera Hee Naam Aaye,
Toh Kya Karu?


Iss Aasmaan ki Bulandi Ko
Chuu Lene Ko Dil Karta Hai,
Ab Toh Har Baat Se Hee Ek Vishwas Sa Mann Mein Jagta Hai,
Per Dil Mein Gar ho Teri Hee Pyas
Toh Kya Karu?

Inn Bikharti Saanso Se
Jab Teri Khushboo Aati Hai,
Pal Pal Mein Wo Humein ,

Kitne Khwab De Jati Hai Jab Bhool Chuki Hu Main Tumko
Toh Kyu Aansu Bann K Aate Ho

Kyu Hasti Khelti Zindagi Ko Ek Dard Ki Raah Dikhate ho
Tum Kyu Mere Khayalo mein Aate Ho?

8 comments:

friend said...

mus say lovely conposition di..
just amazing !!!!!!

Mannat said...

thnx sharvi dear

Prasun Kulshrestha said...

honestly sharvi, this is something my fav now...u knw why...its because this came from chand's inner heart...every word is simple n touching

Mannat said...

dhanyawad bhai sahab and sharvi ji
waise yeah u r rite ...ye likhte waqt really i was remembering someone...

Prasun Kulshrestha said...

tum, tum ho ya ho tum koi mere apne...
dekhta hun khudko kisi khawab mein jaha rehtey the mere sapne..
kisi ke ghungroo ne jaga diya mujhe sote hue...
.......(last line koi likh do)

Anonymous said...

Hi,
Apki wo last line complete karne ki koshish mein dekho maine kya kya likh diya.....

tum, tum ho ya ho tum koi mere apne...
dekhta hun khudko kisi khawab mein jaha rehtey the mere sapne..
kisi ke ghungroo ne jaga diya mujhe sote hue...
Haan sachai ko jisney milwa mujhe ..

Bhatak raha tha main iss Dil ki fareebi duniya mein
banke ek rishta ,sab rishto ka matlab samjha diya jisney
aaj sochta hu k wo tha mera sapna ya dhoka
jisney aaj mujhse hee milwa diya mujhe

kabhi socha hee nai kisi or k baare mein
jo socha wahi tha paya maine
hui khata jo ki mohabbat unsey
jisney patharr ki tarah thukraya mujhe ...

wo kehte hai wo kisi or k hain
phir kyu usney chahat ka wo rasta dikhaya mujhe
garr sath chalne ka dumm nai
toh kyu neend se jagaya mujhe...

wo kehte toh jaan bhi de dete
per meri jaan ko hee daav pe lagaya usney
hum toh unke ho gaye umar bhar k liye
per usney kyu na apnaya mujhe ...

garr khata thi meri toh saza mujhe milti
kyu iss nacheez k liye apno aashqo ko bahaya usney
wo aansu nahi Moti thee ,jisye raat bhar baharya usney
garr karna tha Inqaar isi tarah ,
toh kyu Izhaar mujhse karwaya usney ...
haan kyu Izhaar karwaya usney...



sorry Bro agar kuch jyada likh diya ho toh...but you what i really mean..

Thanks,
Chandni

Prasun Kulshrestha said...

garr sath chalne ka dumm nai
toh kyu neend se jagaya mujhe...

Gajab!

every line has meaning to my life...amazing poem...wow.

jeetz said...

Oh, By the wway, try using quillpad.in for writing the same lines in Hindi. Will leave a lasting impression when read.