"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Friday, April 24, 2009

Tootta taara...by Prasun


kal tak chamakta tha taara ab use tootta taara bana daala...
pilaate the sharab kal tak ab use zeher bana daala..

Bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain...
Yahan par hain hazaaro ghar gharon mein log rehte hain...
Mujhe is shehar ne galiyon ka banjaara bana dala...

Main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hoon...
Na mujhse ban saka chhota sa ghar,din raat rota hoon...
arre khuda! tune kaise ye jahan saara bana dala...

Mere maalik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai...
teri marzi,teri marzi pe kiska zor chalta hai...
kisi ko gul, kisi ko tune kaanta bana dala...

yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha...
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha...
jitni umar jeeya nahi uss se jyada ka mohtaaj bana daala..


kal tak chamakta tha taara ab use tootta taara bana daala...
pilaate the sharab kal tak ab use zeher bana daala..

No comments: