"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Thursday, March 12, 2009

...ab kya! :wrriten by Prasun


EXCLUSIVE!!!!!


kabhi tujhe chaha to kabhi teri ada ko chaha,
chaha tha jo mukaam wo mila nahi to chahkar ab kya..


kabhi nazar badli, kabhi nazaare badle..
par jis nazar mein teri surat nahi to uss nazar ko uthane se ab kya..

main rootha hun, tu mana le muje..
par tere dil mein ehsaas ka sailaab nahi to maafi se ab kya..

har jaata pal keh rha hai ki mein akela hun..
har jaane waali raat keh rhi hai mein andhera hun..
har aane waala suraj keh rha hai kal mein bhi savera hun..
par jis savere tu aankhon mein nazar nahi to uss savere ko dekhkar ab kya..

mein thaka nahi, jee lunga ye haste hue teri zindagi..
par aisi zindagi hi kya jisme tera suroor nahi ,
aur aisi zindagi jeekar ab kyato jeekar ab kya..
aur aisi zindagi jeekar ab kyato jeekar ab kya..
aur aisi zindagi jeekar ab kyato jeekar ab kya..

No comments: