"This blog is dedicated to those who believe in love. Love never comes with smiles, its the pain that follows the inner emotions of love."
Welcome to Dard-e-Dil.

Love is like...

katl hua humara...is tarah kishton mein..
kabhi khanzar badal gaye...kabhi kaatil badal gaye..

Saturday, January 31, 2009

Aur yun hua asar...



yun laga kisine dil ki baat keh di...
aur hua asar ki palko tak se raha na gaya..
jo yaad aayi unki iss sham kisi khayal ke saath..
aur hua asar ki aankho se raha tak na gaya..

aur hua asar ki aankhon tak se raha na gaya..
tere deedaar ka khayal iss dil ko tak na samjha paya..
mein kehta rha inn aankhon se ki tu ab na aayegi mujh tak..
par meri baaton se jyada guroor inn aankhon ko apne vishwaas par tha..
aur hua asar ki aansuo se raha tak na gaya..

aur hua asar ki aansuo se raha tak na gaya..
sabar ka baandh toota aur aansu apna dard keh gye..
palko ko bhinga kar meri aanko mein reh gaye..
ye lamha hi hain jisne mujhe dekha hai mujhe tadaptey hue..
aur hua asar ki inn lamho se raha tak na gaya..

aur hua asar ki inn lamho se raha tak na gaya..
aansu behtey rahe..
palke ghili rahin..
aankhen dekhti rahin..
aur bass uss us pal bhar ke lamhe mein hi sab dard jeeta challa gaya..

No comments: