E Naaz ! Thehro Jara Ye Raat abhi adhuri hai,
Umar Bhar k Waado ki Sogaat Abhi Adhuri hai....
Khaton mein jis kadar hoti hai wo baatein ,
Is tarah ki sab mulaqaate ab adhuri hai,
Tere bin jo guzarte hai main un lamhon se waakif hoon,
Mere yeh din adhure hai, meri har raat adhuri hai,
Jo baate ho chuki hai jaane kitni martaba tumse,
Mujhe mehsoos hota hai wohi baatein abhi adhuri hai,
Kuch aise bha gayi hai dil ko uski sanwali rangat,
Ke uske saamne ab husn ki Kaynaat ab adhuri hai,
Dil Ki Gehrayi mein bass basa hai ek tera naam,
Per Lagta hai phir kyu K Meri Talaash abhi adhuri hai.
Ruhh Mein Meri Ghul gya hai Tera hee Pyar,
Per Lagta hai K Iss Mann Ki Pyass Abhi Adhuri hai !!
Meri Jann !Suno Jara Ek Khwahish abhi adhuri hai....
Ye Khwahish abhi adhuri hai..........
1 comment:
jaan....i willl b thr for...nothing will remain " adhura "
Post a Comment